Thursday, January 20, 2011

Jo tum naa aate



Na tum muskurate na ye baat hoti,
Na mai paas jata na ye baat hoti.
Sitaron saji fir meri raat hoti,
Na tum muskurate na yeh raat hoti.

Mai khoya hua khayalon me tha
mai jaga hua sawalon me tha
fir tum paas aaye, zara muskuraye
sabhi kuch-sada kuch badal hi gaya.

Akeli nahi fir meri raat hoti
Na tum muskurate na ye baat hoti,
Na mai paas jata na ye baat hoti.

Chale tum gaye, jahan jaana hi tha
bhale tum gaye, paas aana na tha
mai kho hi gaya adhar me kahin
mai khoja kiya par chala tak nahi.

Sitaron saji bhi meri shaam hoti
Na tum muskurate na ye baat hoti,
Na mai paas jata na ye baat hoti.

Khush tum to raho bahut door tak,
mai mayne apne dhoondh hi lunga
akela raha akela rahun
muskurahat kahin khooj hi lunga

na aahon bhari fir meri jaan hoti,
Na tum muskurate na ye baat hoti,
Na mai paas jata na ye baat hoti.

Sunday, September 12, 2010

Saanjh Khidki Khol Kar,,,


Saanjh Khidki khol kar
tumne diya apraadh mujhko.
Akarmanya, Akartavya, Awaak
kar naa paaya
wah varan
jiska diya adhikaar tumne....

Sangrodhi main bana tha
kuch thaga sa.
Kar diya abaadh kya tha.

Main sada to mukt hi tha
par vigahna me
ho gaya avrodh kya tha.

Tum yahin, mai bhi yahin hoon
kya taku santavnaa mein
ho gaya kuch loop kya tha.

Tum amookit au abhaashit
ho akarman sab kuch samrpan.
deya ki to haar hi hai
mai hi mai adhikaar tera.

kar diya sandhan maine
pa gaya sangyaan main to
mai hi mai adhikaar tera
ho gay yeh pyaar kya tha.

Friday, August 27, 2010

Sham Tanha


Aaj sham kuch guzar gaya.
kahin kho gaya
jo kabhi tha nahi.

Sard si sham me,
ek hararat si uthi
aur sihran.
fir kyu na aai thi yaad
jab wo tha mere sath.

pehli dafa akela sa laga
kuch majboor aur koi zaroori

Aaj sham kuch ho gaya
kahin kho gaya
jo kabhi tha nahin.....